How To Make Bicycle Brake Light

How To Make Bicycle Brake Light



Hello dosto agar aap bhi apni cycle ke liye brake light banana chate hai to aap bilkul sahi blog par aye hai is blog me, me apko ghar par bhaut hi asan tarike se cycle ke liye brake light banana sikhaunga to janne ke liye mare is blog ko pura padte raheye to chaliye suru karte hai.


Required Material for making bicycle brake light:-

1.9v battery.
2.Two Springs.
3.Wire Outer Covering Or Heat Shrink Sleaves.
4.Wire.
5.1watt Three Led.
6.Bicycle Reflector.


01 First Step

Dosto cycle ki light banane ke liye sabse phale apko thino led ke positive pin ko apas me connect karna hai fir uske bad apko thino led ke negative pin ko apas me connect karna hai,dosto ab apke pass led se nikle hue do wire honge ak positive or dusra negative.

02 Second Step

Fir dosto apko thino led ko reflector ke andar fix karna hai,or us reflector ko apne cycle ke piche acche se fix karna hai.

03 Third Step

Uske bad apko cycle me battery ko ase jga fix karna hia jha bo pani se gili na ho or cycle chalane par bha se gire nahi.

04 Fourth Step 

Fir apko battery ke positive wire ko led ke positive wire se connect karna hai,or battery ke negative wire ko cycle ke kisi bhi iron part par connect karna hai taki puri cycle me negative current ho jye.

05 Fifth Step 

Ab dosto uske bad apko apni cycle ke dono brake wire me tyre ke pass jo rubber brake hai unhe apko open karke usme se brake wire bhar nikalna hai fir un dono brake wire ke khule hue hisse par apko heat shrink ya wire ki outer covering lagani hai taki usme spring lagane par spring brake wire se touch na ho.or fir apko dono brake wire me spring lagani hai or dono brake wire ko rubber brake me acche se fix karna hai.

06 Sixth Step

Uske bad dosto aapko dono spring ko  brake wire ke bolt se acche se fix karna hai taki brake dwane par spring wire ke sath upar niche na ho or dosto dhyan rahe ki spring niche bolt se ya kisi bhi iron ke part se bina brake dwaye touch nahi honi chaiye, sirf brake dwnae par hi spring iron part se touch honi chaiye isi liye use acche se fix kare.

07 Seventh Step

Ab dosto apko dono spring me led ke negative wire ko connect karna hai.fir jab bhi aap cycle ka brake dwaynge to circuit complete ho jayega or brake light on ho jayegi.

To dosto ab apki cycle ki brake light puri trha se ban chuki hai aap use ak bar check karke usee use kar sakte hai or agar apko iske bare me video dekhni hai to aap niche video par click karke use dekh sakte hai or  kisi bhi question ke liye aap muje mare youtube channel Many Creative Ideas par ya is blog me commect karke puch sakte hai mera blog padne ke liye aap sabhi ka dhanyabad.






---------------------------------------------------Thank You--------------------------------------------------

Comments

Popular posts from this blog

How To Make RF Transmitter And Reciver At Home

How To Find Saved WiFi Password In Windows 8/8.1 and windows 10