How To Make RF Transmitter And Reciver At Home

How To Make RF Transmitter And Receiver At Home


Circuit Diagram Download Karne Ke liye Niche Download Par Click Kare



Hello Dosto me SONU apka swagat karta hu apne is blog me dosto agar aap bhi drone banana chate hai ya remote control car banana chate hai ya fir koi bhi wireless rc project banana chate hai to aap bilkul sahi blog par aye hai dosto is blog me mane apko bhout hi asan tarike se ghar par RF Transmitter & Reciver Circuit banana sikhaya hai jise dekh kar aap aasani se ghar par apne liye ya kisi or ke liye bana sakte hai aap uss RF circuit se RC Car ya Plane Ya fir Drone ko wireless control kar sakte hai  or is blog me mene apko har ak item ke bare me bataya hai or sath hi sath circuit ka diagram or video bhi mane is blog me diye hai to aap usse dekh sakte hai to janne ke liye mere is blog ko pura padte rahiye.

So Let`s Start

To dosto sabse phale me apko RF Transmitter banana sikhaunga or fir RF Receiver to chaliye fir ab me apko batata hu ki RF Transmitter banane ke liye apko kiya kiya materials ke jaroorat padegi.

Required Material For Making RF Transmitter Circuit:-

1. PCB Board.
2. Rf Transmitter Module 433Mhz.
3. HT12E Enecoder Ic.
4. 5mm 3v Red Led.
5. 1K Ohm Resistor.
6. 1M Ohm Resistor.
7. 7805 Ic For convert 9v to 5v.
8. wire.
9. 9v Battery.
10.Push Button Four(4).


Sabse phale dosto apko in sabhi component ko pcb board me acche se fix karna hai. fir apko 7805 ic ke 1no. pin me 9v battery ka  positive wire connect karna hai or pin no.2 me battery se negative wire connect karna hai. Fir ic ke 3 no. pin se 5v output milega usme apko ak red wire connect karne hai fir us red wire ko HT12E ic ke 18no. pin or RF Transmitter module ke 2 no. Pin (vdd) pin me connect karna hai or Rf Transmitter module ke pin no. 1 (Ant) pin me ak anttena lagana hai yani ki ak copper wire ke spring banakar lagani hai. 

Fir apko HT12E ic ke 1 to 9 or 14 pin ko ground karna hai fir Rf Transmitter module ke ground bale 4no.pin (Gnd) pin  ko ground karna hai, ground yani ki apko unko battery ke negative point se connect karna hai.

Ab dosto apko HT12E Ic ke pin no. 17 ko Rf transmitter module ke pin no. 3 (data) pin se connect karna hai.

Fir apko HT12E Ic Ke pin no. 16 or 15 ko 1M ohm Resistor se apas me connect karna hai.

uske bad apko Red Led ke positive pin me 1k ohm ka resistor lagana hai or fir us resistor ke pin ko apko 7805 ic ke 3no. output pin se connect karna hai or fir Red led ke negative pin ko apko ground karna hai.

Ab dosto HT12E Ic ke 10,11,12 or 13 pin me apko ak ak push button lagana hai or fir push button ke 2no. pin ko ground karna hai.

Ab Dosto apka RF Transmitter circuit pura ban chuka hai aap niche circuit diagram ko bhi dekh ke use bana sakte hai or agar apne yhe pad kar banaliya hai to aap diagram me dekh kar use ak bar match kar sakte hai ki connection sahi hue hai ya nahi or ya fir me likhne me syad kuch bhul to nahi gya me, isiliye ak bar diagram jaroor dekh le.

DOWNLOAD

AB dosto agar apne upar pad kar ya diagram dekh kar agar RF Transmitter circuit bana liya hai to ab me apko RF Reciver Banana sikhata hu to is blog ko padte rahiye.


Required Material For Making RF Receiver Circuit:-

1. Pcb board.
2. HT12D Decoder Ic.
3. RF Receiver Module 433 Mhz.
4. 7805 Ic For Convert 9v to 5v.
5. 5mm 3v Red Led.
6. L293NE ya fir L293D Motor Driver Ic.
7. 9v Battery.
8. 1K Ohm Resistor.
9. 33K Ohm Resistor.
10.Wire.
11.Two 3 ya 6v ki Dc Motor.



Sabse phale dosto apko in sabhi component ko pcb board me acche se fix karna hai. fir apko 7805 ic ke 1no. pin me 9v battery ka  positive wire connect karna hai or pin no.2 me battery se negative wire connect karna hai.

Fir ic ke 3 no. pin se 5v output milega usme apko ak red wire connect karne hai fir us red wire ko HT12D ic ke 18no. pin or RF Receiver module ke 4 no. Or 5no. (vdd) pin me connect karna hai.

fir 7805 ic ke 3 no. Pin se hi ak wire L293D ic ke 1,9 or 16 no. Ki pin se connect karna hai.jo ki ic ko chalu karne ke liye hai.

Ab apko 7805 ic ke 1no. Pin se ak wire L293D ic ke 8no.pin se connect karne hai.yhe motor ko voltage dene bale pin hai.

Fir apko RF Receiver Module ke no. 1 (Ant) pin me ak anteena lagana hai yani ki ak copper wire ke spring banakar lagani hai. 

Fir apko HT12D ic ke 1 to 9  pin ko ground karna hai or L293D Ic ke 4,5 or 12,13 no. Pin ko bhi ground karna hai,
fir Rf Receiver module ke ground bale 2,3 or 8 no.pin (Gnd) pin  ko ground karna hai, ground yani ki apko unko battery ke negative point se connect karna hai.

Fir apko HT12D ic ke Pin no. 17 me ak 1k ka resistor lagana hai or us resistor ki dusri pin ko Red led ke positive pin se connect karna hai or fir Red led ke negative pin ko ground karna hai.

Uske bad apko HT12D ic ke 15 or 16 no. Bali pin ko 33K Ohm ke resistor se apas me connect karna hai.

Or ab apko HT12D ic ke 14 no. Pin ko Rf Receiver Module ke 6 or 7 no. (Data) pin se connect karna hai.

Ab dosto apko HT12D Ic ke pin no.13 ko L293D ic ke pin no. 7 se or 12 ko 2 se or 11 ko 15 se or 10 ko 10no. Bali pin se connect karna hai,yha par dosto apko HT12D or L293D ke un no. pin ko apas me connect karna hai jo mane bataya hai.

Or ab dosto apko bas L293D Ic ke 3 no. Or 6 no. Pin me ak motor connect karni hai or L293D ic ke 12 no. Pin or 14 no. Pin me dusri motor connect karni hai.

Ab dosto apka RF Receiver Circuit pura ban chuka hai or aap niche diye hue diagram se bhi use ak bar match karke dekh sakte hai.

DOWNLOAD



Dosto agar aap transmitter circuit me three 1.5v ke cell ka use kare to aap is circuit diagram ka use kare

Iss blog me dosto mane apko RF Transmitter or Receiver Circuit banana sikhaya muje umid hai ki aap log inhe banana acche se sikh gye honge or aap chahe to niche video par click karke aap video bhi dekh sakte hai.


Muje umid hai dosto ki apko mera yhe blog accha laga hoga , mera blog padne ke liye aap sabhi ka bhout bhout dhanyabad.or agar apko koi bhi presani aati hai to aap muje mare youtube channel Many Creative Ideas ya fir is blog par comment karke puch sakte hai.


-------------------------------------------Thank you for reading my blog-----------------------------------------


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

How To Make Bicycle Brake Light

How To Find Saved WiFi Password In Windows 8/8.1 and windows 10